Raigaan hai wafa yahan
Raaigan…
Sayibaan, jo laga tha kabhi wo
faraib-e-nazar asmaan
Ab sharafat nahi
Yeh rivayat nahi baaki
Ho kisi ki qadar
Aesi aadat nahi baaki
Aesa nahi kahin koi hai
Ghalat fehmi jo bani hai
Khoya nahi apna pan
Ehsaas ki raah chuni hai
Tarasti hain nigahain meri takti hain
raahain teri sun kabhi aahain meri
Yeh kese main bataon tujhey soti nahi
ankhain meri kat-ti nahi raatain meri
K khuahishon pe khuabon ki barishain azabon ki
kahan gai dhoop mere hisse k sawabon ki
K dard bharey naalon pe kar karam sawalon pe
Q sitam hai tera tere chahney walon par
Tarasti hain nigahain meri takti hain
raahain teri chaihiye panah teri
Yeh kese main bataon tujhe
Soti nahi ankhain meri
Kat-ti nahi ratain meri
Dhal nahi jaatey
Pal nahi jaatey
Doobti hain sansain
Dil aese bhar jaatey
Jaatey hoye lamhon ko
Paas bulata hai
Thori si bhi doori dil
Seh nahi paata hai
Sab hain dikhavey
Jhootey behlavey
Ek hi qadam laaye
Sau sau pachtavey
Bekhabar tha zara par na tha bewafa
Yaaraa..
Sach tha yeh ghalat fehmi
par khuab nahi jur paatet
Dukh detey jaan letey hain
taras zara nahi khaate
Tarasti hain nigahain meri takti hain rahain
teri sun kabhi aahain meri
Yeh kese main bataon tujhey soti nahi
ankhain meri kat-ti nahi raatain meri
Aesa nahi kahin koi hai
ghalat fehmi jo bani hai
Khoya nahi apna pan ehsaas
ki raah chuni hai